GORAKH DHANDHA | THE JAY THAKKAR SHOW EP:- 23
Manage episode 320650250 series 3317559
GORAKH DHANDHA
1. Dil pe hairath ne ajab rang jama rakha hai,
Ek uljhi hui tasvir bana rakha hai,
Kuch samajh me nahi ata ke yeh chakkar kya hai,
Khel kya tumne azal se racha rakha hai,
Ruh ko jism ke pinjre ke bana kar ke aadi ,
Uspe fir mot ka pehra bhi bana rkha hai,
Hairath ki ek duniya ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
2. Kahi phunkar te dariya kahi khamosh pahad,
Kahi jungle kahi sehra kahi gulshan dekhu,
Kyu rulata hai ye takseem ka andaaz mujhe ,
Koi dhanvan yaha par koi nir dhan dekhu,
Din ke hatho me vakhat ek sulagta suraj,
Raat ki maang sitaro se muzaiyan dekhu,
Kahi murjhaaye hue phool hai sachai ke,
Kahi jhooth ke kaato ki chaugand dekhu,
Shams ki khaal kahi kheechti nazar aati hai,
Kahi sarvant ki utarti gardan dekhu,
Raat ka sheher savera kya hai,
Yeh ujala yeh andhera kya hai,
Me bhi naaib hu tumhara aakhir,
Fir Kyun ye kehte ho tera kya hai,
Hairath ki ek duniya ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
3. Aa e tehkik me har gao ki uljhan dekhu,
Vahi halato khayalato me un ban dekhu,
Ban ke reh jata hu tasvir pareshani ki,x
Gaur se kabhi duniya ka darpan dekhu
Ek hi khak se fitrat ke taazaadaad kitne,
Kitne hisso me bata ek hi angan dekhu,
Kahi zehmat ki sulagti hui patjhad ka samah,
Kahi rehmat ke baraste hue savan dekhu,
Aap hi apna parda ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
4. Jo kehta hu mana tumhe lagta hai bura sa,
Fir bhi hai mughe tumse behral ghilasa,
Har zulm ki tofek hai zalim ki virasat,
Mazlum ke hisse me na tasalli na Dilasa.
Kal taj saja dekha tha jiss sakhs ke sar par,
Hai aaj usi sakhs ke haato me hikasa,
Yeh kya hai agar puchu toh kehte ho javaban,
Iss raaz se ho sakta nahi koi shanaza.
Hairath ki ek duniya ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
5. Nit naye naksh bana te ho mita dete ho,
Jane kis zulm me tamannah ki sazah dete ho,
Kabhi kankad ko bana dete ho heere ki kani,
Kabhi heeron ko bhi mitti me mila dete ho,
Zindagi kitne hi murdo ko adah ki jisne,
Vo masiha bhi salibo pe chadha dete ho,
Hairath ki ek duniya ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
6. Dil se arman nikal jaye to jugnoo ho jaye,
Aur aankho me simat aaye toh asoo ho jaye,
Jaap e ahoo ka jo behoo karehoo me kho kar,
Usko sultaniya mil jaye vo bahoo ho jaye,
Baal bika na ho kisika jo churi ke niche,
Halk e asgar me kabhi teeri tarazo ho jaye,
Aap hi apna parda ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
7. Aag ko khel patango ne samgh rakha hai,
Sab ko anjam ka dar ho ye zaroori toh nahi,
Neend toh dard ke bistar par bhi aa sakti hai,
Unki aagosh me sar ho yeh zaroori toh nahi,
Cheekh krta hai jo masjid me khuda ko sajh de,
Uske sacjhdo me asar ho ye zaroori toh nahi,
Sabki nazar me ho saaki zaroori hai magar,
Sab pe saaki ki nazar ho ye zaroori toh nahi,
Hairath ki ek duniya ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
8. Hairan hu iss baat pe tum kon ho kya ho,
Haath aoo toh buddh haat na aoo toh khuda ho,
Akal me jo gir gaya la inteha kyu kar hua,
Jo samgh me a gaya fir khuda kyu kar hua,
Falsafi ko behes ke andar khuda milta nahi,
Dor ko suljha rha hai aur sira milta nahi,
Jabki tujh bin nahi koi mojud toh e khuda yeh hungama kya hai,
Aap hi apna parda ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
9. Chupte nahi ho samne aate nahi ho tum,
Jalawa dikha ke jalwa dikha te nahi ho tum,
Dehr o haram ke jhagde mitate nahi ho tum,
Jo asli baat hai vo batate nahi ho tum,
Hairan hu mere dil me samaye ho kis tarah,
Hala ki do jaha samate nahi ho tum,
Aap hi apna parda ho,
Tum ek Gorakh Dhandha ho.
Welcome to India’s Most Inspiring Podcast The Jay Thakkar Show
#IndiasMostInspiringPodcast #TheJayThakkarShow
--- Send in a voice message: https://podcasters.spotify.com/pod/show/jay-thakkar-show/message
72 епізодів